↪Part_07💝 ☪ AAQA ﷺ KA MAHINA ☪
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🚥Qabristaan Ki Haaziri🚥
➡Nabiye Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ka Farman-e-Azeem Hai:- " Maine Tumko Ziyaarat-e-Qubur Se Manaa Kiya Tha ,Ab Tum Qabro'n Ki Ziyaarat Karo Ki Woh Dunya Me Be Raghbati Ka Sabab Hai Aur Aakhirat Ki Yaad Dilaati Hai
📚Sunane Ibne Mazah
(Jild-2,Safa-202, )
➡(Waliyyullah Ke Mazar Shareef Yaa) Kisi V Musalman Ki Qabr Ki Ziyarat Ko Jaana Chahe To Mustahab Yeh Hai Ki Pehle Apne Makan Par (Ghair Makrooh Waqt Me) 2 Rak'at Nafl Padhe'n , Har Rak'at Me Surat-ul-Fatihaa Ke Baad Ek Baar Aaayatul Kursi Aur 3 Baar Suratul Ikhlaas Padhe'n Aur Is Namaz Ka Sawab Saahib-e-Qabr Ko Pahunchaae
📌Allah Ta'aala Us Faut Sudaa Bande Ki Qabr Me Noor Paida Karega Aur Is (Sawab Pahunchane Waale) Shakhs Ko Bahut Ziyada Sawab Ata Farmaaega
📚Fatawa Aalamgiri
(Jild-5,Safa-350)
➡Mazaar Shareef Yaa Qabr Ki Ziyarat Ke Liye Jaate Huwe Raaste Me Fuzul Baato'n Me Mashgul Na Ho
🔃To Be Continue..↔🔜
___________________________
✍Post Written By:- Riyaz Barkati @ +9779804028619