↪Part_04💝 ☪ AAQA ﷺ KA MAHINA ☪
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🚥Bhalaiyo'n Waali Raate'n🚥
✒☆ Ummul Mu'amineen Hazrat-e-Saiyyidtuna Aaisha Siddiqa Radiallahu Anhaa Farmati Hai,
Maine Nabiye Kareem ,Raufur Raheem (Sallallahu Alaihi wa Sallam ) Ko Farmate Huwe Suna :-
"ALLAH ta'aala Khaas Taur Par 4 Raato'n Me Bhalaaiyo Ke Darwaaze Khol Detaa Hai"
➖Baqar Eid Ki Raat
➖Eid-ul-Fitr Ki Raat
➖Sha'baan Ki 15vi Raat Ki Is Raat Me Marne Waalo'n Ke Naam Aur Logo Ka Rizq Aur Is Saal Hajj Karne Waalo Ke Naam Likhe Jaate Hai
➖Ar-Faa ki (Ya'ni 8 Aur 9 Zul Hijja Ki Darmiyani) Raat Azaan-e-Fazr Tak
🚥Naseehat🚥
✍🌀15 Sha'ban-ul-Muazzam Ki Raat Kitni Naajuk Hai ! Na Jaane Kiski Qismat Me Kya Likh Diya Jaae ! Baa'z Auqaat Banda Ghaflat Me Padaa Reh Jaata Hai Aur Uske Baare Me Kuchh Ka Kuchh Ho Chuka Hota Hai
Bahut Se Kafan Dhul Kar Taiyyar Rakhe Hote Hai Magar Kafan Pehenne Waale Baazaaro'n Me Ghum Phir Rahe Hote Hai, Kaafi Log Aise Hote Hai Ki Unki Qabre'n Khudi Huwi Taiyyar Hoti Hai Magar Unme Dafn Hone Waale Khushiyo'n Mast Hote Hai, Baa'z Log Has Rahe Hote Hai Haala'n Ki Unki Maut Ka Waqt Qareeb Aa Chuka Hota Hai.
Kaee Makaanaat Ki Taamiraat Ka Kaam Pura Hogaya Hota Hai Magar Saath Hi Unke Maalikaan Ki Zibdagi Ka Waqt Bhi Pura Ho Chuka Hota Hai
🔃To Be Continue..↔🔜
___________________________
✍Post Written By:- Riyaz Barkati @ +9779804028619