Unknown

Aaqa ﷺ Ka Mahina Part-3


↪Part_03💝 ☪ AAQA ﷺ KA MAHINA ☪
   〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

🚥Aaqa Sha'ban Ke Aksar Roze Rakhte The🚥

✒☆ Hazrat-e-Saiyyidina Aaisha Siddiqa Radiallahu Anhu Farmati Hai Ki Rasulullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Sha'ban Se Ziyada Kisi Mahine Me Roze Na Rokha Karte Balki Poore Sha'ban Hi Ke Roze Rakh Liya Karte The Aur Farmaya Karte The:-
 "Apni Istitaa'at Ke Mutaabik Amal Karo Ki Allah Ta'alaa Us Waqt Tak Apna Fazl Nahi Rokta Jab Tak Tum Uktaa Na Jaao"


📚Bukhari Shareef

🚥Sha'ban Ke Aksar Roze Rakhna Sunnat Hai🚥


✒☆ Ummul Mu'mineen Hazrat-e-Saiyidtuna Aaisha Siddiqa Radiallahu Anhaa Riwaayat Farmati Hai ,
"Huzoor-e-Akram,Noor-e-Mujassam,Shaah-e-Bani Aadam, Rasul-e-Muhtasam, Shafa-e-Umam (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ko Maine Sha'ban Se Ziyada Kisi Mahine Me Roza Rakhte Na Dekha

📌Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam Siwaae Chand Din Ke Poore Maah Roze Rakha Karte The

📚Sunan-e-Tirmizi (Jild-2, Safa-182)



🔃To Be Continue..↔🔜
___________________________
✍Post Written By:- Riyaz Barkati @ +9779804028619