Unknown

Aamad-e-Sarkar ﷺ Part-08


Amad~e~Sarkar ﷺ
Part = 08


🌀Sawal No 6:-

Eid miladdun nabi صلی اللہ علیہ و سلم ke din juloos q nikalte hai?

🌟Jawab:-👇🏻

Aaqa صلی اللہ علیہ و سلم ke juloos nikalna koi nayi baat nahi sahaba e keeram ‏ رضوان اللہ عنہم ne bhi juloos nikala hai. sahi muslim ki hadees me'n hai ke jab aaqa صلی اللہ علیہ و سلم hijrat kar ke madina tashreef le gaye to logo ne khub jashan manaya.


فَصَعِدَ الرَّ جَالُ وَالنَّسَاء فَوقَ البُُیوُتِ وَ تََفرقَ الغِلمَانُ وَ الغَدَمُ فِی الطُّرُقِ یُنَادُونَ یَا مُحَمَّدُ  یَا رَسُول اللَّهِ یَا مُحَمَّدُ یَا رَسُول اللَّهِ
🔴Tarjuma:-

       mard o aurat apne gharo'n ki chat par chad gaye aur navjawan ladke gulam o khuddam raston mai phirte the aur nare risalat lagate the aur khate the یا محمد یا رسول اللہ یا محمد یا رسول اللہ

📝( صحیح مسلم باب فِی حَدِیثِ الھِجرَةِ وَيُقَالَ لَهُ حَدِيثُ الرَّحلِ حديث 7707)

⚫ek riwayat mai aata hai ke hijrat madina ke mauqe par jab huzoor aqdas صلی اللہ علیہ و سلم madina ke qarib pauche to Buredah Aslami apne 70 sathio'n ke sath daaman islam se wabasta huye aur arz kiya ke Huzoor madina sharif me'n Aap ka dakhla Jandha ke sath hona chaiye phir unone ne apne imame ko neze par dal kar jandha banaya aur huzoor صلی اللہ علیہ و سلم نے  ke aage aage rawana huwe.

(وفا الوفا جلد ص 243)📝

🔴yaha ye baat bhi yaad rakhne ki hai ke juloos nikalna saqafat kaa hissa hai duniya ke har khitte me'n juloos nikala jaata hai. kahi school college ke maatahet to kahi siyaasi Jamat ke matahet juloos nikala jaata hai kuch deen qabl denmark ke ek  cartoonist ne nabi akram صلی اللہ علیہ و سلم ki shaan me'n guskati ki to pure aalam e islam me'n juloos nikala gaya aur aihtejaj kiya gaya Isi Tarah Eid miladdun nabi صلی اللہ علیہ و سلم ke mauqe par pure aalam e islam me'n muslaman juloos nikalte hai aur aaqa صلی اللہ علیہ و سلم se mohabbat ka izhar karte hai..


🔃To Be Continue..↔🔜