Unknown

AADAABE MASJID Part 1 of 2

★★★IRSHAADATE AALA HAZRAT
[Post :11]★★★

1» Bagair Aitekaaf Ki Niyyat Kiye Hue Kisi Chiz K Khane Ki Ijazat Nahi Hai.

Bahut Masjid Me Dastoor Hai Ki Maahe Ramzanul Mubarak Me Log Namaziyo K Liye Iftaari Bhejte Hai Who Bagair Niyyate Aitekaaf Wahi Be Takalluf Wahi Khate Peete Hai Aur Farsh Kharab Karte Hai Yeh Naa-Jayaz Hai.

2». Masjid K Ekdarje Se Dusre Darje Me Daakhile K Waqt Sidhaa Qadam Badhaya Jaaye

Yahan Tak Agar Saf Bichi Ho To Us Par Bhi Pahle Siddha Qadam Rakho Aur

Jab Waha Se Hato To Bhi Siddha Qadam Farshe Masjid Par Rakho Ya Khateeb (Khutba Padhne Wala ) Jab Mimbar Jaane Ka Irada Kare Pahle Siddha Qadam Rakhe Aur Jab Utare To Siddha Qadam Utaare.

3». Wuzu Karne K Baad Aazaae Wuzu Se Ek Chint Paani Ki Boond Bhi Masjid K Farsh Par Nag Ire.

4». Masjid Me Daudna Ya Zor Se Qadam Rakhne Jisse Dhamak Paida Ho Manaa Hai.

5». Masjid Me Duniya Ki Koi Baat Na Ki Jaaye Haa Agar Deeni Baat Kisi Se Kahna Ho To Qareeb Jaa Kar Aahista Se Kahna Chahiye Naaki Ek Saahaab Masjid Me Khade Hue Doosre Raahgir Jo Sadaq Par Khada Hua Hai Chilla Kar Baate Kar Rahe Hai Koi Bahar Se Pookar Raha Hai Aur Ye Sahaab Uska Jawab Buland Aawaz Se De Rahe Hai .

🔃To Be Continue..↔🔜