Unknown

SIRAT-E-RASOOL【PART-04】











Dodh pine ka jamana◀ ÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷÷ Sabse pehle Huzoor (sallallahu Alaihi wasallam) ne Abu lahab ki laundi "Hajrat-e-asuwaiba" ka Dudh Nosh farmaya,, fir Apni walida Majida Hajrat-e-Aamina ke Dudh se sairab Hote rahe, fir Hajrat-e-Halima sa'adiya Apko Apne sath le gayi Aur apne kabile me Rakh kar Apko dudh pilati Rahi Aur Unhi ke pas Apke Dudh pine ka jamana Gujra, [Madarijun-Nubuwwah jild-2 safa-18] ------------------------------------ Shurfa-e-Arab ki Adat Thi ki wah Apne Bacho ko Dudh pilane ke liye Gird-o-Nawah ke Dehato Me bhej dete the, Dehat ke saaf suthri Aabo-Hawa me Bacho ki tandurusti Aur jismani sehat bhi Achhi ho jati thi Aur wah khalis Aur fasih Arbi zabaan sikh jate the,, kyunki shahar ki Zabaan bahar ke Admiyo ke Mel jol se khalis Aur fasih wa Balig Zaban nahi Raha karti thi,,, ♂To Be Continue......... _________________________________________ √ Post Written By :- #(मोहम्मद अरमान गौस )