Unknown

SIRAAT-E-RASOOL 【Part-05】












 Hajrat-e-Halima (Radi Allahu Anha) ka Bayan hai ki Mai "BANI SA'AD" ki Aurato Ke Ham'Rah Dudh pine wale Bacho ki talash me Makka ko chali, us saal Arab me Bahut sakht kal pada huwa tha, Meri God me Ek Bacha tha Magar faka ki wajah se Meri chhatiyo me itna dudh Nahi tha jo usko kafi
ho sake, Rat bhar wah Bacha Bhuk se tadpta Aur Rota Bil'bilata Rahta tha Aur uski Dil'jui Aur Dil'dari ke liye tamam Rat Baith Gujarte the, Ek untni (camal) bhi Hamare pas thi, Magar uske Bhi Dudh Na tha, Makka Mukar'rma Ke safar me jis kach'char par Mai sawar thi wah kadre lagar tha ki kafila walo ke sath Na chal sakta tha, Mere Ham'Rahi bhi isse tang Aa chuke the, Badi-badi Mushkilo se ye safar tay huwa, ` jab ye kafila Makka Mukar'rma pahuncha to, jo Aurat Rasool'Allah (sallallahu Alaihi wasallam) ko Dekhti Aur ye sunti ki ye yatim hai to koi Aurat apko lene ke liye taiyar Nahi hoti thi, kyunki Bache ke yatim Hone ke sabb se zayda In'aam Wa Ikram Milne ki ummid Nahi thi, ` idhar Hajrate Halima sa'adiya ki kismat ka sitara suryya se zayda Buland Aur chand se zayda Raushan tha, unke Dudh ki kami unke liye Rahmat Ki zyadti ka Bais ban Gayi, kyunki dudh ko kam Dekhkar kisi ne unko Apna Bacha dena Gawara Na kiya,, ♂To Be Continue......... _________________________________________ √ Post Written By :- #(मोहम्मद अरमान गौस )