Unknown

Namaz-e-Eid Ka Bayaan [Part : 1]


➡  Namaz-e-Eid Ka Bayaan [Part : 1]





_Teri Jab Ke Deed Hogi Jabhi Meri Eid Hogi_
_Mere Khawaab Me Tu Aana Madni Madine Wale_
_(Sallallahu Alaihi Wasallam)_


↘ *Namaz-e-Eid Ka Tareeqa*

⊙ Pehle Is Tarah Niyyat Kijiye :
"Me Niyyat Karta Hu Do² Rakat Namaz Eid-ul-Fitr Ki, Sath 6 Za'eed Taqbeero Ke, Waasite Allah Ta'ala,  Peeche Imam Ke"

⊙ Fir Kano Tak Hath Uthaye Aur Allahu Akbar Kah Kar Hasbe Mamool Naaf Ke Niche Bandh Lijiye Aur Sana Padhiye.

⊙ Fir Kano Tak Hath Uthaye Aur Allahu Akbar Kehte Huwe Latka Dijiye.

⊙ Fir Kano Tak Hath Uthaye Aur Allahu Akbar Kehkar Latka Dijiye.

⊙ Fir Kano Tak Hath Uthaye Aur Allahu Akbar Kah Kar Bandh Lijiye.

⊙ Fir Imaam Ta'awwuz Aur Tasmiya Aahista Padh Kar Surah Fatiha Aur Surah Buland Awaaz Ke Sath Padhe.

⊙ Fir Hasbe Mamool Ruku Wa Sujood Kare.

⊙ Dusri Rakat Me Pehle Surah Fatiha Aur Surah Buland Awaaz Ke Sath Se Padhe.

⊙ Fir Teen³ Baar Kaan Tak Hath Utha Kar Allahu Akbar Kahiye Aur Hath Na Bandhiye.

⊙ Aur Chouthi⁴ Baar Bagair Hath Uthaye Allahu Akbar Kehte Huwe Ruku Me Jaye Aur Qa'eede Ke Mutabik Namaz Mukammal Kare.

⊙ Har Do² Taqbeero Ke Darmiyaan Teen³ Baar "Subhan'Allah" Kehne Ki Miqdaar Chup Khada Rehna Hai.

[ 📗Durr-ul-Mukhtaar, Jild: 3, Safa: 61]
[ 📕Bahare Shariyat, Jild: 1, Safa: 781]

↘ Eidain (Yani Eid-ul-Fitr Aur Eid-ul-Azha) Ki Namaz Wajib Hai Magar Sab Par Nahi Sirf Un Par Jin Par Jum'aa Wajib Hai. Eidain Me Na Azaan Hai Na Iqamat.
[ 📙Durr-ul-Mukhtaar, Jild: 1, Safa: 51]
[ 📘Bahare Shariyat, Jild: 1, Safa: 779]

↘ Eidain Ki Ada Ki Wohi Sharte Hai Jo Jum'aa Ki, Sirf Itna Farq Hai Ki Jum'aa Me Khutba Shart Hai Aur Eidain Me Sunnat. Jum'aa Ka Khutba Qabl Az Namaz Hai Aur Eidain Ka Baad Az Namaz.
[ 📗Bahare Shariyat, Jild: 1, Safa: 779]

↘ In Dono Namazo Ka Waqt Suraj Ke Ba-Qadr Ek Neza Buland Hone (Yani Tuloo-e-Aaftaab Ke 20 Min Ke Baad) Se Zahwa-e-Qubra Yani Nisfunnahaar-e-Shar'ee Tak Hai Magar Eid-ul-Fitr Me Der Karna Aur Eid-ul-Azha Jald Padhna Mustahab Hai.
[ 📕Durr-ul-Mukhtaar, Jild: 3, Safa: 69]
[ 📘Bahare Shariyat, Jild: 1, Safa: 781]