Hadees :
Nabi-E-Kareem Sallallahu Ta’ala Alaihi
Wa Aalihi Wasallam Farmate Hai,
“ALLAH Ta’ala Ne ‘Maa’ Ki Nafarmani Tum Par Haraam Ki,
Aur
Betiyo Ka Zinda Dafnana Haraam Kiya,
Aur
Kisi Ko Na Dena
Aur
Dusro Se Mangne Se Manaa Kiya,
Aur
Na Pasand Kiya Fizul Bakbak Karna
Aur
Bahot Sawaal Karna
Aur
Maal Barbad Karna”.
(Bukhari Sarif, Hadees No: 2247, Musakat Ka Bayan)
Sabak:
Yaani ALLAH Ta’ala Ne Maa Ki Nafrmani
Aur
Betiyonko Zinda Dafnana Bhi Haraam Karar Kar Diya,
Aur
Kisiko Na Dena Matlab Sadqa-Khairaat Na Karna
Aur
Be-Imaano Se Kisi Cheez Ki Ummid Rakhna Bhi Haraam Thehraya,
Aur
Fizul Baate Karna,
Zarurat Se Jyada Mangna, Maal Ko Barbad Karna
Inn Saari Baton Ko Bhi Haraam Me Shumar
Kiya Hai.
Maa Ki Naafarmani Ki Saza:
“Ek Shaks Ki Jaankani (Rooh Kabz Hote Waqt) Ke Waqt Kalima-A-Shahadat Padhne Se Zubaan Bandh Ho Gayi !
Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Uske Paas Tashrif Le Gaye Aur Logon Se Daryaft Kiya Ki,
"Kya Yeh Shaks Namaz Padhta Tha?
Roze Rakhta Tha?"
Kaha Gaya(Jawab),
"Haan ! Aye Rasool-E-Khuda (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم)!
Yeh Namaz Bhi Padhta Tha Aur Roze Bhi Rakhta Tha."
Aapne (صلی اللہ علیہ وسلم) Farmaya,
"Kya Usne Apni Maa Ki Nafarmani Bhi Ki Thi ?
Arz Ki,
"Haan ! Ya RasoolAllah !
Wakayi Yeh Maa Ki Nafarmani Karta Tha."
Aapne (صلی اللہ علیہ وسلم) Uski Maa Ko Bulakar Farmaya,
"Aap Apne Bacche Ki Khatah Muaf Karde,
Aakhir Hain To Tumhara Hi Lakhte-Jigar."
Maa Ne Inkaar Ker Diya,
Kyonki Usne Ek Mauke Per Maa Ki Aankh
Fhod Di Thi,
Aur
Sakht Dil Dukhaya Tha.
Aapne (صلی اللہ علیہ وسلم) Farmaya,
"Accha Jab Yeh Muaf Nahi Kar Sakti Toh Maa Ke Gustaakh Ka Hashr Dekho,
Bahaot si Lakdiyan Jama Karo
Aur
Unhe Aag Laga Do,
Aur
Use Dahekti Hui Aag Me Daal Do."
Maa Ne Jab Yeh Baat Suni To Be-Tabana Lehje Me Kaha,
"Ya Rasool’Allah!
Yeh Mere Pait Me 9 Mahine Raha Hai
2 Saal Usne Mera Dudh Piya Hai
Use Mai Aag Me Jalte Kaise Dekh Sakugi?,
Lijiye Maine Uski Khatayen Muaf Ki."
Udher Maa Ne Muaf Kiya Idher
Uske Bacche Ki Zubaan Se Nikla,
"أ َشْهَدُ أنْ لا إلَٰهَ إِلَّا اللهُُوَأشْهَدُ أنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُه"ُ
(Nujjahtul Majalis, Kitaabuz-Zikr Jild-1, Pg-52)
»Sabak :-
Malum Hua Ki Maa Ka Bahoat Bada Darja Hai
Maa Ke Be-Adab Wa Gustaakh Ka Anjaam Accha Nahi Hota.
Haan,
Agar Maa Muaf Karde To Uski Najaat Mumkin Hai.
Ab jitna jaldi ho sake aap aapni Maa-Baap se muafi mange bhale hi aapko lagta ho ki aapne kabhi kuch aisa nahi kiya jisse Unka Dil dukha ho.
Yeh Bhi Malum Hua Ki Aadmi Namaz,
Roze Ka Pabandh Hojane
Ke Ba-Wajudh Maa Ki Be-Adbi Karne Se Bhi Jala Dene Ke Kaabil Ho Jata Hain.
To Jo Shaks Quraan Ka Ders Bhi De,
Namaz Bhi Padhe,
Roza Bhi Rakhe,
Daadi Bhi Rakhe,
Tabligh Bhi Kare Lekin Huzoor
(ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم)
Ka Be-Adab Ho,
Wo Kyon Na Jahannam Ki Aag Me Jalne Ke Kaabil Hoga ?