Unknown

QABR KA BOSAA AUR TAWAAF

★IRSHAADATE AALA HAZRAT
[Post: 17]★



❇ Bila Shubah Gaire Kaaba Muazzam Ka Tawafe Taazeemi Naa-Jayaz Hai Aur Gaire Khuda Ko Sajda Hamari Shariat Me Haram Hai .

Yaani Kaabe K Alawa Kisi Aur Ka Tawaf Naa-Jayaz Hai Aur Allah K Siwa Kisi Aur Ko Sajdah Haram Hai Aur Ibadat Ki Niyyat Se Allah K Alawa Kisi Aur Ko Sajda Karna Kufr Hai.

Aur Qabr Ka Bosa  Karne Me Olma Me Ikhtelaaf Hai Aur Ahwat Mana Hai Yaani Na Karne Hi Me Zyada Ahtiyat Hai Khususan Mazarate Tayyaba Awliya E Kiraam Ki Hamare Olma Ne Tasreeh Farmai K Kam Az Kam Char Haath Ke Faasle Me Khada Ho Yahi Adab Hai .  »Ahkaame Shariat

1▪.Qabr Ka Bosa Yaani Chumne Ka Kyu Haq Hai  ?

☑Ans. Baaz Olma Ijazat Dete Hai Magar Zyada Tar Olma Makrooh Jaante Hai To Usse Bachna Hi Chahiye Ashe-Atul Lam-Aat Me Hai --  Qabr Ko Hath Se Masah Na Kare Aur Na Usko Bosa De.

2▫.Qabr Ka Tawaf Karna Kaisa Hai ?

✔Ans. Tawaf Kaaba Ki Khususiyaat  Se Hai Isliye Ambiya Aur Awliya E Kiraam K Qabro K Gird Tawaf Karna Mana Haraam Hai . Magar Ise Mutlakan Shirq Thahra Dena Jaisa Ki Bad-Aqeeqo Ka Khayal Hai Mahaz Baatil Wa Gaat hai

3».Qabr Kis Qadr Buland Karna Jayaz Hai ?

☑Ans. Ek Baalisht Ya Kuch Zydada Jayaz Hai   Zyada Bulandi Yaani Aisi Bulandi Jo Acchi Na Lage Makrooh Hai .

»📚📚FATAWA RAZVIYA JILD 4


🔃To Be Continue..↔🔜