★IRSHAADATE AALA HAZRAT
[Post :20]★
✔Dua Me Sirf Mudd’aa Yaani Qaboole Maqsad Par Nazar Na Rakhe Balqi Alfaaze Dua Ko Asli Maqsad Jaane Q K Wo Khud Ibadat Balqi Magze Ibadat Hai .
Maqsad Hona Na Hona Ek Alag Baat Hai. Munaajat Wa Dua Ki Jo Lazzat Hai Wo Naqad Wasool Hai.
◎◎○○○○◎BAD’DUA AUR KOSNA
◎○○○○◎◎
✔Apne Aur Apne Ahbaad Ke Nafz Yani Jaat Wa Ahal Wa Maal Wa Bacho Par Bad’dua Na Kare Ki Kya Maloom Ki Qabooliyat Ka Waqt Ho Aur Bala K Aa Jaane Par Fir Nidamat Ho.
✅Rasoolullah Sallallhu Alaihi Wa Sallam Farmate Hai Ki .
Apni Jaano Par Bad’dua Na Karo Apni Aulaad Par Bad’dua Na Karo Aur Apne Khaadim Par Bad’dua Na Karo Aur Apne Amwaal Par Bad’duua Na Karo Kahi Ijaabat (Qabooliyaat) Ki Ghadi Se Muwakif Na Ho .
»📚MUSLIM , ABU DAWOOD, IBNE KHUJAIMA
🔷3 Dua E Maqbool Hai .
🔸1.Majloom Ki Dua
🔸2.Musaafir Ki Dua
🔸3.Maa- Baap Ka Apni Aulaad Ko Kosna
»📚TIRMIJI SHARIF , AHSANUL WIAA
@ To Be Continue .....©