Jahannam Ke Thekedaar [Part 11]
Pichhle Post Me Ahle Wahabiyat Deobandi Tableegi Tamam Ke Imam Maulana Ismaeel Ki Gandi Aur Jahalat Bhari Gustakhiya Humne Padhii...
Jo Ki Filhaal Wahabi Ahle Hadith,Jamat E Islaami,Tableegi Jamaat,Deobandi Jamaat,Iss Daur Me Maujud Haii Aapas Me Ikhtelaaf Bhi Hai Aur Muhabbat Bhi...
Deobandio Ke Peshva Muqtada Hakim Ul Ummat Maulvi Ashraf Ali Thanvi
Maulana Ashraf Ali Thanvi Ke Bare me Alhamdolillah Azzawazal Kam Ilm BeIlm Sunni Bhaii Bhi Janta Hai Aur Kafir Manta Hai...
Maulana Ashraf Ali Thanvi Apni Kitaab HIFZUL IMAN Me Safa No. 8 Par Likhtey Hai..
Fir Yeah Ki Apki Jaate Muqaddasa (Yani Sarkar Sallallaho Alayhe Wasallam) Per Ilm E Gaib Kiya Jana Agar Bakaule Zaid Sahih Hoto Daryaft Talab Yeah Amr Hai Ki Iss Gaib Se Muraad Ba'az Gaib Hai Ya Qul Gaib.
Agar Ba'az Uloom E Gaibiya Murad Hai To Isme Huzur Hi Ki Kya Takshis?
AESA ILM E GAIB TO ZAID WA AMRA BALKI HAR SABHI BACHHE AUR MAJNUN BALKI ZAMI HAIVANAAT AUR JANWARO CHOPAYO KO BHI HASIL HAI
Dosto Agar Aap Samaj Na Paye To Ek Baar Capital Kiye Lines Pe Gaur Karo Inke Mutabik Sarkar Sallallaho Alayhe Wasallam Ka Ilm E Gaib Agar Thoda Sa Hai To Yeah To Kam Aqal,Pagal,Bachche Aur Janwaro Ko Bhi Hasil Hai..
Ab Socho Dosto Ki Jo Saks Nabi Sallallaho Alayhe Wasallam Ke Ilm Ko Pagalo Janwaro Ke Sath Tasbih De (Equal) Kare Woh Kafir Nahi To Kya Hai.
Thanvi Sahab Ki Jahalat..
Ek Martaba Kisi Mureed Ne Khat (Letter) Likh Kar Apne Peer Maulana Ashraf Ali Thanvi Ko Bheja Jisme Likha Tha.
Mene Khawab Me Apne Aapko Dekha Ki Me Lailaha Illallah Ke Baad Thanvi Rasulallah Padh Rahahu,Fauran Bedaar (Jaaga) Aur Dubara Kalima Aur Darood Sharif Padhne Ki Kosis Ki To Wapis Mohammad Rasulallah Ke Badle Thanvi Rasulallah Nikla
Ab Thanvi Sahab Ka Jawab Suniye...
Isme Waqiye Me Tasalli Hai,Kyu Ki Main Bhi Sunnat Ki Itteba (Pabandi) Karta Hu "
Risalah Al Imdad Maah Safar 1336 San Hijri
Dekha Dosto Apne Mureed Ko Tauba Karana Thanvi Sahab Ko Jaruri Tha Lekin Aese Logo Ko Hum Kya Kahe Jo Kafir E Aazam Hai...
Ab Bhi Jaan Jao In Wahabio Ko Warna Kal Yaume Qayamat Me Shaf e Mehshar Sallallaho Alayhe Wasallam Ki Shafa'at Se Mehroom Hojaoge...
Continue