🔳Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai🔳
✔Hadees No.9
Ibne Shahab ne kaha ki ye hai Rasoolullah ﷺ ke Gazwaat (ladaiyya) aur fir Gazwa e Badar ka zikr karte hue bataya ko Badar mein maare gaye kaafiro ki laasho se khitaab karte hue Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya kya tumne wo paa liya jiska tumhare Rab ne tumse saccha waada farmaya tha . Logo ne kaha Yaa Rasoolullah ﷺ kya Aap murdo se kalaam kar rahe hai ? Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya jo kuch main keh raha hu ye tumse zyada meri baat sun rahe hai
📕Bukhari Jild 2 safa 573
✔Hadees No. 11
Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها se riwayat hai ki unhone Rasoolullah ﷺ se pucha ke jab hum Qabro ki ziyarat kare to kya padhe ? Huzoor ﷺ ne irshad farmaya padho aye Momino aur Musalamano ke ghar walo tum par salaam ho Allah Ta'ala hamare pichle aur pehle walo par Rahem farmaye hum bhi ان شاء الله tumse aakar milne wale hai
Mishkat Jild 1 safa 314
🌴Qabr me Lahrayenge Jis Waqt Jalwe Noor Ke
Hum Padhenge Roohe Poor Anwaar Par Lakhon Salaam🌴