Unknown

AHMED AUR MUHAMMED NAAM K FAZAAIL ¦¦ Part 2 Of 2

★IRSHAADATE AALA HAZRAT
[Post: 15]★


6🔷.Ameerul Momineen Hazrate Ali Karramallahu   Wajhu Se Riwayat Hai K Jis Dastakhwan Par Log Baith Kar Khana Khaye Aur Usme Koi Muhammed Ya Ahmed Naam Ka Ho Wo Log Har Roz Do Baar Muqaddas Kiye Jaayenge.

Yani Jis Ghar Me In Paak Naamo Ka Koi Shakhs Ho Din Me  Do Baar Us Makaan Me Rahmate Ilahi Ka Nuzool Hota Hai .

7🔶.Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Farmate Hai K Tum Me Kisi Ka Kya Nuqsaan Hai Agar Uske Ghar Me Ek Muhammed Ho Ya Do Muhammed Ya Teen Muhammed Ho .

Isiliye Aala Hazrat Ne Apne Sab Bête Aur Bhatijo K Naam Muhammed Rakhe. Aur Sab Ka Aqeeqa Muhammed Naam Se Kiye Aur Sab Me Farq Hone K Liye Alag Alag Naam Se Pukarte The .

8♦.Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Farmate Hai K Jab Koi Kisi Mashware K Liye Jama Ho Aur Waha Unme Koi Shakhs Muhammed Naam Ka Ho Aur Use Apne Mashware Me Shariq Na Kare To Unke Liye Us Mashware Me Barker Nahi Rakhi Jaye.

9🔷.Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Farmate Hai K Jab Ladke Ka Naam Muhammed Rakhoo  To Uski Izzat  Karo Aur Majlis Me Uske Ilye Jagah Kushada Karo Aur Use Burai Ki Taraf Nisbat Na Karo Us Par  Burai Ki Dua Na  Karo .

10🔶.Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Farmate Hai K Jab Ladke Ka Naam Muhammed Rakhoo  To Use Naa Maro Na Mahroom Karo.

Behtar Yehi Hai K Sirf Muhammed Ya Ahmed Naam Rakhe Us Ke Sath Jaan Wagairah Aur Koi Lafz Na Milaye .

🔃To Be Continue..↔🔜