Unknown

Aaqa ﷺ Ka Mahina Part-1


↪Part_01💝 ☪ AAQA ﷺ KA MAHINA ☪
   〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

💠Aaqa Ka Mahina💠

✒★ Rasul-e-Akram,Noor-e-Mujassam,Shaah-e-Bani Aadam, Nabiyy-e-Muhtasham, Shaaf-e-Umam (Sallallahu Alaihi wa Sallam) Ka Shaabaan-ul-Muazzam Ke Baare Me Farman-e-Mukarram Hai ,

 "Shaaban Mera Mahina Hai Aur Ramzan ALLAH ka Mahina hai "


📙(الجامع الصغير للسيو طي ، ص-٣٠١(


💠Sahaaba-e-Kiraam Ka Jazbaa💠

✒★ Hazrat-e-Sayyiduna Anas Bin Maalik Radiallahu Anhu Farmate Hai :- "Maah-e-Sha'baan Ka Chand Nazar Aate Hi Sahaba-e-Kiraam Tilaawat-e-Quran-e-Paak Ki Khub Mu-tawajjeh Ho Jaate,Apne Amwaal Ki Zakat Nikaalte Taaki Gu-rabaa wa Masaakeen Musalman Maah-e-Ramzan Ke Roze Ke Liye Taiyyari Kar Sake , Hukkam Qaidiyo Ko Talab Karke Jis Par 'Hadd'(Sazaa) Qaaim Karni Hoti Us par Hadd Qaaim Karte, Baqiyaa Me Se Jinko Munaasib Hota Unhe Aazaad Kar Dete .Taajeer Apne Qarz Adaa Kar Dete, Dusro Se Apne Qarze Wusool Kar Lete ..

🎯Yu'n Maah-e-Ramzan-ul-M baarak Se Qabl Hi Apne Aapko Faarig Kar Lete Aur Ramzan Shareef Ka Chaand Nazar Aate Hi Gusl Karke (Baa'z Hazraat) Aetiqaaf  Me Baith Jaate

📕(غنيتح الطا لبين ج-١، ص-٣٤١(


💠Maujudaa Musalmano'n Ka Jazbaa💠

✒★ SubhanAllah ! Pehle Ke Musalmano'n Ko Ibaadat Ka Jis Qadar Zauq Hota Tha ! Magar Afsos ! Aaj Kal Ke Musalmano'n Ko Ziyaada Tar Husool-e-Maal Ki Shauq Hai .

Pehle Ke Achchhe Soch Rakhne Waale Musalmaan Mu-tabarrik Aiyyaam Me Rabbul Anaam Ki Ziyaada Se Ziyaada Ibadat Kar ke Uska Qurb Haasil Karne Ki Koshish Karte The Aur Aaj Kal Ke Musalman Mubaarak Dino'n , Khususan Maah-e-Ramzan-ul-Mubaarak Me Dunya Ki Zaleel Daulat Kamaane Ki Nayee Nayee Tarkeebe'n Sochte Hai

📌ALLAH Ta'aala Apne Bando'n Par Meherbaan Hokar Nekiyo'n Ka Ajr-o-Sawab Khub Badhata Hai , Lekin Dunyaa Ki Daulat Se Muhabbat Karne Log Ramzan-ul-Mubaarak Me Apni Cheezo'n Ka Bhaau Badhaa Kar Apne Hi Musalman Bhaaiyo'n Me Lootmaar Machaa Dete Hai .

Sadd Karod Afsos !
Khair Khwaahiye Muslimeen Ka Jazbaa Dam Todtaa Nazar Aaraha Hai!!!!!



🔃To Be Continue..↔🔜
___________________________
✍Post Written By:- Riyaz Barkati @ +9779804028619

\