Unknown

SIRAAT-E-RASOOL【PART-7】












Hajrate Halima ka shauhar Huzoour-e-Rahmat-e-Alam (sallallahu Alaihi wasallam) ki ye Barkate dekh kar Hairan Rah Gaya Aur kahne lage ki- Halima! Tum bada hi Mubarak Bacha le Ayi ho, Hajrate Halima ne kaha ki wakai Mujhe bhi yahi ummid hai ki ye Nihayat hi Ba-Barkat Bacha hai Aur khuda ki Rahmat Ban'kar Hamko Mila hai, Aur Mujhe yahi tawk'ko'a hai ki Ab Hamara Ghar
khairo Barkat se bhar jayega,, ` Hajrate Halima farmati hai ki iske Bad Ham Rahmate Alam ko Apni God me lekar Makka Mukar'rma se Apne Gav ki tarf Rawana huwe to Meri wahi kach'char Ab is kadar tez Chalne laga ki kisi ki sawari uski Gard ko Nahi pahunchti thi, kafila ki Aurate Hairan Hokar Mujhse kahne lagi ki Aye Halima ! "Kya ye wahi kach'char hai jis par tum sawar hokar Ayi thi, ya tez Raftar kach'char tum ne kharid liya hai, Al-Garaj Ham apne Ghar pahunche ! Waha sakht kahat pada huwa tha, tamam janwar ke than Dudh khushk ho chuke the, lekin Mere Ghar me kadam Rakhte hi Meri Bakriyo ke than Dudh se Bhar Gaye, Ab Rojana Meri Bakriyan jab char'gaah se Ghar wapas Aati to unke than Dudi se bhare hote, Halaki puri Basti Me Aur kisi ko Apne janwaro ka ek katra dudh nahi Milta tha, Mere kabile wale ne Apne charwaho se kaha ki tum log bhi Apne janwaro ko usi jagah charao jahan Halima ke janwar charte hai, ` Chunanche sab log usi char'gaah me Apne Maweshi charane lage jahan Bakriyan charti thi, Magar waha to char'gaah Aur jangal ka koi Amal wa Dakhal Nahi tha, yaha to Rahmat-e-Alam ke Barkate Nubuwat ka faiz tha, jisko Mai Aur Mere shauhar ke siwa Meri kaum ka koi shakhs Nahi samjh sakta tha,, ♂To Be Continue......... _________________________________________ √ Post Written By :- #(मोहम्मद अरमान गौस )